Na Tamannao Ki Barish Hui
Na tamannao ki barish hui
aur na hasraton ka toofan utha.
Bus khwaishon ki maut hui
aur sapno ka kafila luta.
Jahan chahat ki baat hui
wahin mayusi ka aasra juta.
Aur jahan armaano ki baraat saji
wahin chupke se mera dil toota.